Breaking Beauty Stereotypes - RJ Sona ke Saath

ब्‍यूटी के पुराने पैमाने या कॉन्‍फीडेंस को नेक्‍स्‍ट लेवल पर ले जाने वाला अपना यूनीक स्‍टाइल! क्‍या है आपकी अपनी ब्‍यूटी? आइए चलते हैं पर्सनालिटी को एक अनोखा अंदाज देने वाले इस पॉडकास्‍ट 'ब्रेकिंग ब्‍यूटी स्‍टीरियोटाइप' में आरजे सोना के साथ।

We deserve equal respect and trust too | Breaking beauty stereotype with RJ Sona

Female employees ke bare me bahut sare taboos tootne lage hain. Par ab bhi female boss par companies bahut kam trust karti hain. Unhe aksar taken for granted liya jata hai. Jabki subordinates women boss ki kabiliyat par sandeh karte hain. Islie sirf equal pay hi nahi equal trust aur equal respect ki bhi zarurat hai. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

11-07
04:59

We must break the bias around Men too | Breaking beauty stereotype with RJ Sona

Hum aksar women ke bare me bias par discuss karte hain. Par kya hamne kabhi socha hai ki hamare aaspass ke purush bhi bahut sare unwanted burden jhel rahe hote hai. Breaking beauty stereotype ke iss episode me hum ese hi stereotypes par bat karenge. Healthshots Hindi Podcast me sunte rahiye RJ Sona ko. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

10-10
07:33

Are we really ready to give respect to women | Breaking beauty stereotype with RJ Sona

Har taraf Navratri ki dhoom machi hai. Deviyo ke roop me hum har Stree shakti ki upasana kar rahe hain. Par kya wakayi hum Aurato ka samman karna jante hai? Kya hum sachmuch taiyar hain apne aaspass ki har Aurat ka samman karne ke liye? Healthshots podcast Breaking beauty stereotype ke iss episode me RJ sona kar rahi hain stree ke samman aur apke wyavahar par bat. Tune in kijiye HT smartcast. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

09-30
05:17

Is there any gender equality in career? | Breaking beauty stereotype with RJ Sona

Gender Equality iss samay ki zarurat hai. Aaj India hi nahi duniya bhar me iski maang ki ja rahi hai. Hum sabhi iske liye koshish bhi kar rahe hain. Par career ke front par aksar nirasha hath lagti hai, jab hum dekhte han ki same job aur same qualification ke bawjood women ko men se kam pay kiya jata hai. Healthshots podcast Breaking Beauty stereotype ke aaj ke iss episode me RJ Sona ke sath karte hain gender equality in India par bat. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

09-19
06:15

Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Whose happiness is more important in wedding

Shadi do logo ka hi nahi, do pariwaro ka bhi mel hota hai, esa kaha jata hai. Par ab jab shadi me tamam tarah ke stereotype toot rahe hain, tab ye sochne ka bhi samay hai ki, shadi me kiski khushi zyada important hai, Bride ki ya, bride ke khandaan ki. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

09-09
09:13

Breaking beauty stereotype with RJ Sona | How to deal with bullying

Breaking beauty stereotype ka naya episode lekar hum apke sath hain. Aapjante hi hain ki iss podcast me hum tamam taboos ko todate hain. Toh kyu na aaj bullying ke khilaf morcha khola jaye! BBS ke iss episode me RJ sona bata rahin hain bullying se nipatane ka ek interesting tarika. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

08-26
06:49

Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Dont ask others about your looks

Aap girl hain ya boy hain, aap kese dikhna chahte hain ye poori tarah apki marzi hai. Apne looks aur apni choice ke liye dusro ki permission ki zarurat nahi hai. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

08-16
05:29

EP- 80, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Divorce doesn't mean the end of happiness

Bahut sare mental health issues ki root un social taboos me hai, jo ladkiyo ko khush hone se rokte hain. Divorce ne bhi bahut sare taboos ko add on kar liya hai. Ek relationship ka tootna kisi ke liye bhi heartbreaking ho sakta hai, par iska ye matlab nahi ki aap kabhi khush hi nahi ho sakte. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

08-03
06:00

EP- 79, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Sushmita ki shadi aur kitne deewane

Ladkiyon ki shadi hamesha se talk of the town rahi hai, Pata nahi kyu. Khastaur se agar wo koi celebrity ho toh logo ko kuchh zyada hi interest aane lagta hai. Lalit modi ke tweet ke bad sushmita ke deewano ki ginti bhi ajab gajab hai. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

07-15
08:39

EP- 78, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Karma will come back to you

Workplace par tarah tarah ki gossips aur politics hoti hain. Esi hi ek politics hai kisi dusre ka credit hadap lena. Par kya haota hai esa karne walo ke sath, Breaking beauty stereotype ke aaj ke iss episode me bata rahin hai RJ Sona. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

07-08
06:39

EP- 77, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Cooking is not matter of gender

Kuchh logo ko lagta hai ki women jhatpat khana bana leti hain, Jabki kuch ko lagta hai ki jab men khana banate hain to wo zyada tasty hota hai. Well, cooking kisi ka shauk, zimmedari ya zarurat ho sakti hai. Par ye gender ka masla toh bilkul nahin hain. Health shots podcast Breaking beauty stereotype ke iss episode me RJ sona bata rahin hain kaise. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

06-24
07:10

Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Shadi kahin stress toh nahi ban rahi?

Shadi ka matlab hota hai happiness. Par kabhi kabhi ise organise karte huye Bride, groom aur unke parents bhi itne zyada tension me aa jate hain ki unke liye ye bhi stress ban jata hai. Toh ye zaruri hai iss stereotype ko todna, kyuki shadi do logo ke sath aane ka naam hai, unhe stress dene ka nahi. Tune in kijiye health shots Hindi podcast breaking beauty stereotype RJ sona ke sath. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

06-17
07:33

EP- 75, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Ladaki drive kar rahi hai , toh safety hai

Aksar ladkiyon ki drive karte dekh bahut sare log bahut sare comment karne lagte hain. Jabki data kuchh aur kahte hain. According to facts woman drivers are more discipline then man. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

06-10
06:54

EP- 74, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Know how yo react when someone dominating you

Professional life me aap challenges se nahi bach sakte. Yaha har din apko kisi na kisi gossip aur kisi na kisi challenge ka samna karna pasta hai. Yahan ese bhi log hote hain jo apko dominate karna chahte hain. Par iss condition me apko kya karna chahiye, bata rahin hain RJ Sona, Health shots Podcast Breaking beauty stereotype ke iss episode me. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

05-27
06:16

EP- 73, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Break the imbalance of sympathy

Mard ko dard nahi hota.... ye ek ajeeb sa statement hai jo hum barso se sunte aa rahe hain. Yakinan girls ko apne right ke liye aaga aana chahiye. Par sirf male hone se koi wyakti galat sabit ho jaye ye zaruri nahi. Isliye emotional justice ke iss bias ko bhi todna hai zaruri. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

05-20
07:45

EP- 72, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Know how to deal with office gossip

Koi bhi office gossip se bach nahi pata. Jo achchha kam kar raha ho, uske bare men toh aur bhi zyada baaten ki jati hai. Par iss se demotivate hone se better hai ise deal karne ka sahi tarika pata hona. To phir stay tune in Healthshots Hindi Podcast Breaking Beauty stereotype with RJ Sona Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

05-17
06:36

EP- 71, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Beauty is not only about hair

Hum sab apne hair se bahut pyar karte hain. saloon me hair cut karwate huye bhi nazar kainchi par hi rahti hai ki kahin zyada na kat jayen. Asal me hum sabhi hair ko lekar bahut paossesive hote hain. Yahi vajah hai ki balo ko lekar bahut sare social taboo ban gayen hain , jinhe toda jana zaruri hai. Toh Healthshots podcast Breaking Beauty stereotype ke iss episode ko suniye jaha RJ Sona in tabbos se bahar aane ki bat kar rahi hain. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

05-06
05:56

EP- 70, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | You can't be perfect at your first step

Hum sab kahi na kahin se shuruat karte hain, aur yakinan bahut sari galtiyan bhi karte hain. Par un galtiyo ka matlab ye nahi hai ki aap me sudhar nahi ho sakta. Perfection aur imperfection ke issi mudde par bat kar rahin hain RJ Sona, Breaking Beauty stereotype ke aaj ke iss episode me. Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

04-29
05:28

EP- 69, Breaking beauty stereotype with RJ Sona | Have patience, Apna Time Aayega

Aap kitne talented hain ye har koi nahi bata sakta. Bahut sare log millennials ke bare me ye perception bana lete hai ki ye mobile aur tik tok wali generation hai. Of course hum hain, par iska ye matlab nahi ki iske alawa hum kuchh aur nahi. Toh boss, have patience, kyuki… Apna time aayega! Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

04-22
05:43

EP- 68, ब्रेकिंग ब्‍यूटी स्‍टीरियोटाइप RJ सोना के साथ | मेरे पप्पा के, भैया के, पति के पैसे मेरे नहीं हैं भई

नया वित्त वर्ष शुरू हो गया है। तो क्यों न बात पैसे पर कर ली जाए। दुर्भाग्य से अब भी लड़कियों की कमाई को उनकी पॉकेट मनी समझ लिया जाता है। और ज्यादातर लोगों को यह लगता है कि बड़े बाप की बेटी, इतना कमाने वाले पति की पत्नी को भला पैसों की क्या जरूरत! लड़कियों की मेहतन और पैसे पर सोशल टैबू पर बात कर रहीं हैं आरजे सोना। हेल्थशॉट्स पॉडकास्ट ब्रेकिंग ब्यूटी स्टीरियोटाइप के आज के इस एपिसोड में। Learn more about your ad choices. Visit megaphone.fm/adchoices

04-01
07:29

Recommend Channels