Agar sirf ek cheez karne se, ek badlaav se, aap apne bachche ke saath apne rishte mein naya josh, nayi umang bhar sakein, to kya aap us cheez ko karenge? Kya aap us cheez ko karna yaad rakh paayenge? Vo ek cheez kya hai, ye jaanney ke liye, sunte rahiye...
Har ma-baap ko yahi baat khaaye jaati hai ki unke bachche unki baat nahin sunte. Aur jaise vo bade hote hain, vo aapki baat pehle se bhi kam sunte hain. Apne bachchon tak apni baat panhunchaane ki tarkeebein jaanane ke liye, aage suniye.
Apne bachchon se achha rishta banaaye rakhne ke liye unka aapse baat-cheet karna zaroori hai. Lekin zyaadatar bachche kabhi na kabhi apne ma-baap se baat karna band kar dete hain. Ye haalaat kaise na paida hon, aur agar aisa haal hai, to is pareshani ka tod jaaniye.
Parent hone ki sabse badi chunautiyon mein se hai ki aapki har decision, har action par koi na koi aap ko taane sunaayega, yahaan tak ki aapke parents bhi! Isi dar se, hum bahut saari aisi cheezein karte hain jo hamare aur hamare bachchon ke liye nuksaandeh hain, aur jo unke aur hamare rishte mein daraar paida karte hain. ‘Log kya kahenge’ ke dar se hamesha ke liye apni peechha chhudaiye.
Zara sochiye - aapke parenting safar ki manzil kya hai? Is manzil tak panhunchne ki koshish aapke aur aapke bachchon ke rishte ko itna mazboot banaa degi, ki vo aapke fan ban jaayenge!
Hum apne bachchon se pyaar karte hain, isliye hum unse judi hui pareshaniyon ka hal hamesha dhoondhte rehte hain. Magar - . Jab hum tarkeebon ko sunkar 'magar' kehte rehte hain, toh ye hamare liye ishara hai ki hum apni mushkil ko hal karne ke liye taiyyar nahin hain.
Chahe parenting ka kitna hi achha nuskha kyon na ho, vo sirf kuchh der tak chalta hai. Ye isliye, ki is nuskhe mein se ek bahut zaroori kirdaar laapataa hai. Is kirdaar ke baare mein jaaniye, jiske hone se aap parenting salaah ka faayda lambe arsey tak uthaa sakte hain.
Carefree Parenting aapke aur aapke bachchon ke beech ke stress aur tension ko kam karne ki tarkeebein bataakar, aap mein parent hone ki umang phir se taaza karta hai. Special workshop at http://carefreeparenting.com/the-simple-secret-that-makes-your-child-easier-to-manage/