Discover
Constant Dreamer

Constant Dreamer
Author: Nipunn
Subscribed: 0Played: 4Subscribe
Share
© Nipunn
Description
Jaun Elia, Ahmad Faraz, Faiz Ahmad Faiz, Mohsin Naqvi and many more uncountable gems who have given words to our feelings and imaginations, who have made us live and relive those magical moments again and again.
This is just a tribute to all of them.
I try to recite and explain in simple Hindi as that's I understand. I hope you will also love and cherish these moments with me.
Join me to worship all the Gods of Urdu poetry.
This is just a tribute to all of them.
I try to recite and explain in simple Hindi as that's I understand. I hope you will also love and cherish these moments with me.
Join me to worship all the Gods of Urdu poetry.
8 Episodes
Reverse
Har Koi Dil Ki Hatheli by Ahmad Faraz
har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe
kis ko sairab kare wo kise pyasa rakkhe
umr bhar kaun nibhata hai talluq itna
ai meri jaan ke dushman tujhe allah rakkhe
hum ko accha nahin lagta koi hamnam tera
koi tujh sa ho to phir nam bhi tujh sa rakkhe
dil bhi pagal hai ki us shaqs se wabasta hai
jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe
hans na itna bhi faqiron ke akele-pan par
ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakkhe
ye qanaat hai itaat hai ki chahat hai 'Faraz'
hum to raazi hain wo jis haal mein jaisa rakkhe
Poetry by Ahmad Faraz
Voice over by Nipunn
Translations from Rekhta
Audio from YouTube Library
Ghazal by Ahmad Faraz Sahab
ye kya ki sab se bayan dil ki haalaten karni
'faraaz' tujh ko na aain mohabbaten karni
ye qurb kya hai ki tu samne hai aur hamein
shumar abhi se judai ki saaten karni
koi khuda ho ki patthar jise bhi hum chahen
tamam umr usi ki ibaadaten karni
sab apne apne qarine se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karni
hum apne dil se hi majbur aur logon ko
zara si baat pe barpa qayamaten karni
milen jab un se to mubham si guftugu karna
phir apne aap se sau sau wazahaten karni
ye log kaise magar dushmani nibahte hain
hamein to ras na aain mohabbaten karni
kabhi 'faraaz' nae mausamon mein ro dena
kabhi talash purani rifaqaten karni
Voice - Nipunn
Ghazal by Mirza Ghalib
aise chup hain ki ye manzil bhi kadi ho jaise
tera milna bhi judai ki ghadi ho jaise
apne hi saaye se har gam laraz jata hun
raste mein koi diwar khadi ho jaise
kitne nadaa hain tere bhulne wale ki tujhe
yaad karne ke liye umr padi ho jaise
tere mathe ki shiqan pahle bhi dekhi thi magar
ye girah ab ke mere dil mein padi ho jaise
manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain
apne hi panw mein zanjir padi ho jaise
aaj dil khol ke roe hain to yun khush hain 'faraaz'
chand lamhon ki ye rahat bhi badi ho jaise
By Ahmad Faraz
Voice over - Nipunn
Poet - Jaun Elia
Voice - Waqif
Dhund chayi hui hain jhilon par
Ud rahe hain parind tilon par
Sab ka ruḳh hai nashemanon ki taraf
Bastiyon ki taraf banon ki taraf
Apne gulon ko le ke charvahe
Sarhadi bastiyon men ja pahunche
Dil-e-nakam main kahan jaun
Ajnabi shaam main kahan jaun
Audio credit:
Source: http://incompetech.com/music/royalty-free/?keywords=funeral+march+for+brass
Artist: http://incompetech.com/
Ghazal by Ahmad Faraz
Voice - Waqif
ab ke hum bichde to shayad kabhi khwabon mein milen
jis tarah sukhe hue phul kitabon mein milen
dhundh ujde hue logon mein wafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milen
gham-e-duniya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo
nashsha badhta hai sharaben jo sharabon mein milen
tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen
aaj hum dar pe khinche gae jin baaton par
kya ajab kal wo zamane ko nisabon mein milen
ab na wo main na wo tu hai na wo mazi hai 'faraaz'
jaise do shakhs tamanna ke sarabon mein milen
Ghazal by Ahmad Faraz Sahab
Voice over by Nipunn
dukh fasana nahin ki tujh se kahen,
dil bhi maana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab,
ḳhud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se,
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar,
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida ham faqir logon ka,
ik thikana nahin ki tujh se kahen
ai ḳhuda dard-e-dil hai baḳhshish-e-dost,
ab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali men 'faraz',
aana jaana nahin ki tujh se kahen
dukh fasana nahin ki tujh se kahen,
dil bhi mana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab,
KHud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
Follow us on Instagram @ https://www.instagram.com/jaunism/
Voice over by Nipunn Gupta