Har Koi Dil Ki Hatheli by Ahmad Faraz har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe kis ko sairab kare wo kise pyasa rakkhe umr bhar kaun nibhata hai talluq itna ai meri jaan ke dushman tujhe allah rakkhe hum ko accha nahin lagta koi hamnam tera koi tujh sa ho to phir nam bhi tujh sa rakkhe dil bhi pagal hai ki us shaqs se wabasta hai jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe hans na itna bhi faqiron ke akele-pan par ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakkhe ye qanaat hai itaat hai ki chahat hai 'Faraz' hum to raazi hain wo jis haal mein jaisa rakkhe Poetry by Ahmad Faraz Voice over by Nipunn Translations from Rekhta Audio from YouTube Library
Ghazal by Ahmad Faraz Sahab ye kya ki sab se bayan dil ki haalaten karni 'faraaz' tujh ko na aain mohabbaten karni ye qurb kya hai ki tu samne hai aur hamein shumar abhi se judai ki saaten karni koi khuda ho ki patthar jise bhi hum chahen tamam umr usi ki ibaadaten karni sab apne apne qarine se muntazir us ke kisi ko shukr kisi ko shikayaten karni hum apne dil se hi majbur aur logon ko zara si baat pe barpa qayamaten karni milen jab un se to mubham si guftugu karna phir apne aap se sau sau wazahaten karni ye log kaise magar dushmani nibahte hain hamein to ras na aain mohabbaten karni kabhi 'faraaz' nae mausamon mein ro dena kabhi talash purani rifaqaten karni Voice - Nipunn
aise chup hain ki ye manzil bhi kadi ho jaise tera milna bhi judai ki ghadi ho jaise apne hi saaye se har gam laraz jata hun raste mein koi diwar khadi ho jaise kitne nadaa hain tere bhulne wale ki tujhe yaad karne ke liye umr padi ho jaise tere mathe ki shiqan pahle bhi dekhi thi magar ye girah ab ke mere dil mein padi ho jaise manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain apne hi panw mein zanjir padi ho jaise aaj dil khol ke roe hain to yun khush hain 'faraaz' chand lamhon ki ye rahat bhi badi ho jaise By Ahmad Faraz Voice over - Nipunn
Poet - Jaun Elia Voice - Waqif Dhund chayi hui hain jhilon par Ud rahe hain parind tilon par Sab ka ruḳh hai nashemanon ki taraf Bastiyon ki taraf banon ki taraf Apne gulon ko le ke charvahe Sarhadi bastiyon men ja pahunche Dil-e-nakam main kahan jaun Ajnabi shaam main kahan jaun Audio credit: Source: http://incompetech.com/music/royalty-free/?keywords=funeral+march+for+brass Artist: http://incompetech.com/
Ghazal by Ahmad Faraz Voice - Waqif ab ke hum bichde to shayad kabhi khwabon mein milen jis tarah sukhe hue phul kitabon mein milen dhundh ujde hue logon mein wafa ke moti ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milen gham-e-duniya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo nashsha badhta hai sharaben jo sharabon mein milen tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen aaj hum dar pe khinche gae jin baaton par kya ajab kal wo zamane ko nisabon mein milen ab na wo main na wo tu hai na wo mazi hai 'faraaz' jaise do shakhs tamanna ke sarabon mein milen
Ghazal by Ahmad Faraz Sahab Voice over by Nipunn dukh fasana nahin ki tujh se kahen, dil bhi maana nahin ki tujh se kahen aaj tak apni bekali ka sabab, ḳhud bhi jaana nahin ki tujh se kahen be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se, dostana nahin ki tujh se kahen ek tu harf-e-ashna tha magar, ab zamana nahin ki tujh se kahen qasida ham faqir logon ka, ik thikana nahin ki tujh se kahen ai ḳhuda dard-e-dil hai baḳhshish-e-dost, ab-o-dana nahin ki tujh se kahen ab to apna bhi us gali men 'faraz', aana jaana nahin ki tujh se kahen dukh fasana nahin ki tujh se kahen, dil bhi mana nahin ki tujh se kahen aaj tak apni bekali ka sabab, KHud bhi jaana nahin ki tujh se kahen Follow us on Instagram @ https://www.instagram.com/jaunism/