DiscoverRoohaniyat Urdu Podcast
Roohaniyat Urdu Podcast
Claim Ownership

Roohaniyat Urdu Podcast

Author: Roohaniyat Urdu Podcast

Subscribed: 4Played: 26
Share

Description

Tire ishq ki intiha chahta huun
Miri saadgi dekh kya chahta huun

Urdu poetry is an integral part of South Asian culture. Urdu poems talk about love, god, life & loss. In this podcast I will be sharing spiritual poetry. (Naat-O-Manqabat)
22 Episodes
Reverse
Poet: Mohammed Viquaruddin Siddiqui Hyderabad, India
Poet: Mohammed Viquaruddin Siddiqui Hyderabad, India
Poet: Mohammed Viquaruddin Sidiqui Hyderabad, India
Poet: Mohammed Viquaruddin Siddiqui Hyderabad, India Published book: Faizaan-e-Haram
Poet: Mohammed Viquaruddin Siddiqui "Viquar" Hyderabad, India Hain Shah-e-Kaunain Kiske gar Ghulamon ke Nahi
Poet: Ameer Minai KHalaq ke servar, shaafa-e-mahshar, sallaaho alaihe-vasallam  mursal-e-daavar-e-KHaas payambar, sallaaho alaihe-vasallam  nuur-e-mujassam, nayyar-e-aazam, survar-e-aalam, muunis-e-aadam  nuuh ke hamdam, KHizr ke rahbar, sallaaho alaihe-vasallam  faKHr-e-ayaa.n hai.n, arsh-e-makaa.n hai.n, shaah-e-shahaa.n hai.n, saif-e-zabaa.n hai.n  sab pe ayaa.n hai.n aap ke jauhar, sallaaho alaihe-vasallam  bahar-e-saKHaavat, kaan-e-muravvat, aaya-e-rahmat, shaafe.a-e-ummat  maalik-e-jannat, qaasim-e-kausar, sallaaho alaihe-vasallam  qibla-e-aalam, ka.aba-e-aazam, sab se muqaddam raaz ke mahram  jaan-e-mujassam, ruuh-e-musavvir, sallaaho alaihe-vasallam  daulat-e-duniyaa KHaak baraabar, haath ke KHaalii dil ke tava.ngar  maalik-e-kishvar taKHt na afsar, sallaaho alaihe-vasallam  rahbar-e-muusaa, haadii-e-iisaa, taarik-e-duniyaa, malak-e-uqbaa  haath kaa takiya, KHaak kaa bistar, sallaaho alaihe-vasallam  chashma-e-jaarii, KHaassa-e-baarii, gard-savaarii baad-e-bahaarii  aa.iina-daarii, faKHr-e-sikandar, sallaaho alaihe-vasallam  mehr se mamluu, resha resha ne.amat, 'amiir' apnaa hai pesha  dard hamesha rahtaa hai aksar, sallaaho alaihe-vasallam 
Poet: Mohammed Viqauruddin Siddiqui Viquar Hyderabad, India Munajat means secret conversation, whispering, prayer, longing or yearning. It is a poem glorifying Allah as well as an act of offering prayer by submitting humble supplication.
Poet: Kamil Shattari aap ko paatā nahīñ jab aap ko paatā huuñ maiñ  yā to kho jaatā huuñ, yā phir kho diyā jaatā huuñ maiñ 
Poet: Mushahid Rizvi dil se aaqaa kii ho tauqiir, to ho jaatii hai na.at  ho KHayaalaat me.n tathiir, to ho jaatii hai na.at  dars-gah-e-na.at kii laaraib hai, qur.aan-e-aziim  paa.e.n qur.aan se tanviir, to ho jaatii hai na.at 
Naat-e-Paak - Abdul Sattar Niazi khusravii achchhii lagii, na sarvarii achchhii lagii  ham faqiiro.n ko, madiine kii galii achchhii lagii  duur the to zindagii, be-ra.ng thii, be-kaif thii  un ke kuuche me.n ga.e to, zindagii achchhii lagii 
Poet: Iqbal Azeem Jahan Rauza-e-Paak-e-Khairul-Wara hai Vo Jannat Nahin hai toh phir aur kyaa hai
Poet: Iqbal Azeem Kahan Main Kahan Madh-e-Zaat-e-Giraami - Naat-e-Shareef
Poet: Mahirul Qadri Salaam Us Per, Ke Jis Ne Be Kaso.n Ki Dastagiri KiSalaam Us Per, Ke Jis Ne Badshaahi Mein Faqiiri Ki #urdunaat #urduposts #urdusufipoetry #naat2023 #naatsharif #mahirulqadri
Humse Tauseef-e-gulistaan-e-adam mat pucho #urdunaat #urduposts #urdusufipoetry #naat2023 #naatsharif 
Tere Qadam se ai mere sultaan-e-Kaiyenaat #urdunaat #urduposts #urdusufipoetry #naat2023 #naatsharif 
Kalaam-e-Shaair Ba-Zabaan-e-Shaair Naat-e-Paak: Zikr-e-Sarkaar hai Sanso.N ka Sahaara Meraa Poet: Syed Jalaluddin Hussaini Juniad
Main kyaa kahu.N,huzoor ka hai ehtaraam kyaa Quraan bolta hai yeh meraa kalaam kyaa Poet: Mohd. Gaziuddin Siddiqui Kamaal Hyderabad, India
Poet: Mohammed Gaziuddin Siddiqui "Kamaal" Hyderabad, India Darbaar-e-Mustufaa ke, Kyaa hai.N ghulaam Likhnaa Har Taajwar se oonchaa, inka maqaam Likhnaa Baad-Az Salaam meraa, Jo hai payaam likhnaa Maaruza likhnay Waalo, Haal-e-ghulaam likhna Aamaal-naama meraa, likhnaa toh ai farishto Sarkaar-e-do Jahaa.N kaa, Adnaa ghulaam likhnaa Jhukte hain sar wahaa.N par, Jhuktay hain dil yahaa.N par Rowzay ko bhi nabi kay Baitul-haraam likhnaa Quraan-e-paak shahid hai, inki azmato.N kaa Tauseef HuQ ne kii hai, phir kyaa muqaaam Likhnaa Har ek hai muaddab, Taibaa mein baat kyaa hai Is shahar ka hai aisaa,  kyon ehtamaam likhna Aaqa-e-do-Jahaa.N hai Ghurbat-pasand Aaqa Moonis Ghareeb ke hain, Khair-ul-anaam Likhnaa Quraan jab hai goya ausaaf-e-mustufaa mei.N Asaa.N nahin hai, naat-e-khairul-anaam Likhnaa Duniya se jaanay walaa toh hai Kamaal Lekin Deedaar-e-Mustufa par hai, Ekhtataam Likhnaa
Mujhko meri baqshiish ke asaar nazar aaye
Parwaana banke dil mera shaidaa hai aaj bhi Poet: Mohammed Gaziuddin Kamaal Siddiqui
loading
Comments