Poet: Mohammed Viquaruddin Siddiqui Hyderabad, India
Poet: Mohammed Viquaruddin Siddiqui Hyderabad, India
Poet: Mohammed Viquaruddin Sidiqui Hyderabad, India
Poet: Mohammed Viquaruddin Siddiqui Hyderabad, India Published book: Faizaan-e-Haram
Poet: Mohammed Viquaruddin Siddiqui "Viquar" Hyderabad, India Hain Shah-e-Kaunain Kiske gar Ghulamon ke Nahi
Poet: Ameer Minai KHalaq ke servar, shaafa-e-mahshar, sallaaho alaihe-vasallam mursal-e-daavar-e-KHaas payambar, sallaaho alaihe-vasallam nuur-e-mujassam, nayyar-e-aazam, survar-e-aalam, muunis-e-aadam nuuh ke hamdam, KHizr ke rahbar, sallaaho alaihe-vasallam faKHr-e-ayaa.n hai.n, arsh-e-makaa.n hai.n, shaah-e-shahaa.n hai.n, saif-e-zabaa.n hai.n sab pe ayaa.n hai.n aap ke jauhar, sallaaho alaihe-vasallam bahar-e-saKHaavat, kaan-e-muravvat, aaya-e-rahmat, shaafe.a-e-ummat maalik-e-jannat, qaasim-e-kausar, sallaaho alaihe-vasallam qibla-e-aalam, ka.aba-e-aazam, sab se muqaddam raaz ke mahram jaan-e-mujassam, ruuh-e-musavvir, sallaaho alaihe-vasallam daulat-e-duniyaa KHaak baraabar, haath ke KHaalii dil ke tava.ngar maalik-e-kishvar taKHt na afsar, sallaaho alaihe-vasallam rahbar-e-muusaa, haadii-e-iisaa, taarik-e-duniyaa, malak-e-uqbaa haath kaa takiya, KHaak kaa bistar, sallaaho alaihe-vasallam chashma-e-jaarii, KHaassa-e-baarii, gard-savaarii baad-e-bahaarii aa.iina-daarii, faKHr-e-sikandar, sallaaho alaihe-vasallam mehr se mamluu, resha resha ne.amat, 'amiir' apnaa hai pesha dard hamesha rahtaa hai aksar, sallaaho alaihe-vasallam
Poet: Mohammed Viqauruddin Siddiqui Viquar Hyderabad, India Munajat means secret conversation, whispering, prayer, longing or yearning. It is a poem glorifying Allah as well as an act of offering prayer by submitting humble supplication.
Poet: Kamil Shattari aap ko paatā nahīñ jab aap ko paatā huuñ maiñ yā to kho jaatā huuñ, yā phir kho diyā jaatā huuñ maiñ
Poet: Mushahid Rizvi dil se aaqaa kii ho tauqiir, to ho jaatii hai na.at ho KHayaalaat me.n tathiir, to ho jaatii hai na.at dars-gah-e-na.at kii laaraib hai, qur.aan-e-aziim paa.e.n qur.aan se tanviir, to ho jaatii hai na.at
Naat-e-Paak - Abdul Sattar Niazi khusravii achchhii lagii, na sarvarii achchhii lagii ham faqiiro.n ko, madiine kii galii achchhii lagii duur the to zindagii, be-ra.ng thii, be-kaif thii un ke kuuche me.n ga.e to, zindagii achchhii lagii
Poet: Iqbal Azeem Jahan Rauza-e-Paak-e-Khairul-Wara hai Vo Jannat Nahin hai toh phir aur kyaa hai
Poet: Iqbal Azeem Kahan Main Kahan Madh-e-Zaat-e-Giraami - Naat-e-Shareef
Poet: Mahirul Qadri Salaam Us Per, Ke Jis Ne Be Kaso.n Ki Dastagiri KiSalaam Us Per, Ke Jis Ne Badshaahi Mein Faqiiri Ki #urdunaat #urduposts #urdusufipoetry #naat2023 #naatsharif #mahirulqadri
Humse Tauseef-e-gulistaan-e-adam mat pucho #urdunaat #urduposts #urdusufipoetry #naat2023 #naatsharif
Tere Qadam se ai mere sultaan-e-Kaiyenaat #urdunaat #urduposts #urdusufipoetry #naat2023 #naatsharif
Kalaam-e-Shaair Ba-Zabaan-e-Shaair Naat-e-Paak: Zikr-e-Sarkaar hai Sanso.N ka Sahaara Meraa Poet: Syed Jalaluddin Hussaini Juniad
Main kyaa kahu.N,huzoor ka hai ehtaraam kyaa Quraan bolta hai yeh meraa kalaam kyaa Poet: Mohd. Gaziuddin Siddiqui Kamaal Hyderabad, India
Poet: Mohammed Gaziuddin Siddiqui "Kamaal" Hyderabad, India Darbaar-e-Mustufaa ke, Kyaa hai.N ghulaam Likhnaa Har Taajwar se oonchaa, inka maqaam Likhnaa Baad-Az Salaam meraa, Jo hai payaam likhnaa Maaruza likhnay Waalo, Haal-e-ghulaam likhna Aamaal-naama meraa, likhnaa toh ai farishto Sarkaar-e-do Jahaa.N kaa, Adnaa ghulaam likhnaa Jhukte hain sar wahaa.N par, Jhuktay hain dil yahaa.N par Rowzay ko bhi nabi kay Baitul-haraam likhnaa Quraan-e-paak shahid hai, inki azmato.N kaa Tauseef HuQ ne kii hai, phir kyaa muqaaam Likhnaa Har ek hai muaddab, Taibaa mein baat kyaa hai Is shahar ka hai aisaa, kyon ehtamaam likhna Aaqa-e-do-Jahaa.N hai Ghurbat-pasand Aaqa Moonis Ghareeb ke hain, Khair-ul-anaam Likhnaa Quraan jab hai goya ausaaf-e-mustufaa mei.N Asaa.N nahin hai, naat-e-khairul-anaam Likhnaa Duniya se jaanay walaa toh hai Kamaal Lekin Deedaar-e-Mustufa par hai, Ekhtataam Likhnaa
Mujhko meri baqshiish ke asaar nazar aaye
Parwaana banke dil mera shaidaa hai aaj bhi Poet: Mohammed Gaziuddin Kamaal Siddiqui