Zindagi Eishwar ki dee huyi eisi daulat jis ka koyi mol nahi.Gar us zindagi mein kuchh bhi na ho toh bhi us se oopar kuchh nahi.
Kisi ke paas hone ka ehsaas jo paas na ho kar bhi paas rehta hai. Jo har lamha saath rehta jaise insaan ki parchhayi hamesha us ke saath hoti hai par dikhayi nahi deti.
Zindagi ke woh adhoorey sapney jo poora hone ki ummeed ban kar reh jaatey hain jo un sapno ko poora kar saktey hain woh kartey nahi kyounki madad ke badley mein sauda kartey hain log
Insaan ke rang jo badaltey rehtey hain waqt ke saath. Aur insaan ka woh libaas jo woh odh leta hai behtari ke liye par asal mein eisa hota nahi hai