DiscoverDIL Meri Jaan with Joy GParat | Layer | Aapke andar kitni partein hain? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #94
Parat | Layer | Aapke andar kitni partein hain? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #94

Parat | Layer | Aapke andar kitni partein hain? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #94

Update: 2025-07-30
Share

Description

Parat.

खुलत में बंद हैं कोंपल के सोते जागते रंग

परत परत में नई दिलकशी है ये दुनिया
- महबूब ख़िज़ां
💔 Parat: Shaksiyat ki rishton ki samajh 💔

Kya aapne kabhi socha hai ki humari shaksiyat aur rishte kitni paraton mein lipte hote hain? 🤔 Dil Meri Jaan with Joy G ke naye episode 'Parat' mein, hum isi gehre raaz ko tatolenge. Yeh episode aapko ek anokhi roohani yatra par le jayega. 🚶‍♀️🚶‍♂️

Humari shaksiyat ke alag-alag rang 🌈 aur unka rishton par kya asar hota hai? Kaise hum alag-alag situations mein apni personality ki nayi layers dikhate hain? Stanley Kunitz, Sarveshwar Dayal Saxena, aur Nishant Jain ki gehri kavitaon ke saath, hum samjhenge ki kaise hum apni aur doosron ki in complexities ko zyada empathy aur behtar tareeke se samajh sakte hain. 💖

Plato aur Aristotle ke darshan se lekar Bhagavad Gita ke gyan tak, yeh episode aapko insani fitrat ki gehrayi mein le jayega. Toh chaliye, apne andar ki aur doosron ki paraton ko kholte hain aur zindagi ke safar ko thoda aasaan banate hain.

Zaroor suniyega! 🎧

Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like, rate aur share kar lijiyga aur channel ko follow aur subscribe bhi kar lijiyega. Main aapka bahut aabhari rahunga.

Dil Meri Jaan with Joy G, woh podcast show hai, jahan aap aur main milkar relationships yaani riston ke baarein mein, jazbaaton ke baarien mein, ehsaason ke baarein mein baatchit karengey, inhe samjhenge, kareeb se jaanenge, shero-shayari ki madad se, kavitaon, ghazalon, nazmon aur geeton ki madad se, philosophers ki madad se.

Is podcast show ka maqsad hi rishton, jazbaaton aur ehsaason ko samajhna hai aur zindagi ko ek naye andaaz se dekhne ki koshish karna hai. Aapke saath milkar ek aisi community banani hai jahan hum ek naye nazariye se rishotn ko dekh sakein aur unhe ek behtareen tareekey se nibha sakein.

Agar aap relationships ke baarein mein, emotions ke baarein, feelings ke baarein mein kuch bhi discuss karna chahtey hain ya kuch bhi share karna chahte hai to mujhe email zaroor kijiyega, mera email id hai ⁠dilmerijaanwithjoyg@gmail.com⁠

Credits & Other information:

Written and narrated by: Joy G

Music: Pixabay

Poems/Shers/Nazam used: Credit given to individual artists/ writers/creators

Email: ⁠dilmerijaanwithjoyg@gmail.com⁠

Instagram handle: @dilmerijaanwithjoyg

Disclaimer:

Yeh episode meri niji raai hai, rishton aur ehsaason ke baarein mein meri niji soch hai jo maine zindagi se, apne tajurbe se aur auron ke rishton ko dekhkar, samajhkar haasil ki hai. Maine poori koshish ki hai ki aap ke samne jo bhi pesh karun woh sahi ho. Agar aapko kuch bhi galat lagey toh kindly mujhse share karein aur main immediately usko sudharne ki poori koshish karunga! Aur is episode mein maine meri likhi hui kavitaein, shero-shayari, geet, nazam aur ghazal ka allava kisi bhi dusre artist ka ya funkaar ka kuch bhi ullekh kya hai uska maine credit unko diya hai. Agar usme koi bhi truti hui ho toh main kshamaprarthi hoon!


#Parat #Layers #Shaksiyat #Personality #Rishte #Relationships #Zindagi #Life #JoyG #DilMeriJaan #Podcast #HindiPodcast #SelfDiscovery #Empathy #HumanNature #Poetry #Philosophy #KhalilGibran #Philosophy #SelfAwareness #Gita #UnderstandingPeople #ComplexHumanNature #Forgiveness #Emotions #Feelings

Comments 
In Channel
loading
00:00
00:00
x

0.5x

0.8x

1.0x

1.25x

1.5x

2.0x

3.0x

Sleep Timer

Off

End of Episode

5 Minutes

10 Minutes

15 Minutes

30 Minutes

45 Minutes

60 Minutes

120 Minutes

Parat | Layer | Aapke andar kitni partein hain? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #94

Parat | Layer | Aapke andar kitni partein hain? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #94

Joy G